Tareekhein badalte dekh rhi hun,
Chatt wahi hai bistar wahi
Ek ek pal beet rha hai
Khwahishein kayi, nazaara wahi
Mutthi se ret nikalti ja rhi hai..
Darr hai mutthi kholi to zindagi na nikal jaye
Fir mann kehta hai khol do mutthi..
kya pata zindagi savar jaye
Zamaane ke sikhaye asool bhool jaane ko jee chahta hai
Par fir har ek chehra mujhe ghoorta nazar aata hai
Apni banayi zanjeerein hain shayad
Nahi to todna itna mushkil na hota...
Umeed ki kiran nikli hi thi
Ki duniyadari ke saleekon ne fir se jakad liya…
Khwaab dekh paon zameen se uthne hi lage the
Ki sahi galat ki kashmakash ne fir se pakad liya
No comments:
Post a Comment