Ishq se nahi Ishq ke khayaal se pyaar hai,
Woh paane ki arzoo, wo apna kehlane ka intezaar hai
Humari ungaliyon ko uljhaa kar, Zindagi sulajhne ko bekaraar hai
Un nazron se nazre churaa kar, unhi mein doob jaane ka savaal hai..
Raah lambi hai pata hai, ruh tak pahunchne ka junoon jo savaar hai!
Ishq se nhi, ishq ke khayaal se pyaar hai..
Aj bhi us ek aahat se, dil ki dhadkne tez ho jaane ka,
Bina uss chuan ke, poore jism ke kaamp jaane ka,
Uss awaaz ko baar baar sunte hi jaane ka,
Wahi puraani yaadein, ussi daur se fir se guzar jaane ka,
Khamoshi ko be-ikhtiar kar, karaar karne ko dil taiyaar hai,
Ishq se nhi, Ishq ke khayaal se pyaar hai...
Uss dheemi si muskaan se izhaar ka, Mehaki si khushboo wali mulakat ka,
Jazbaat mein wo pehli si shiddat ka, Shiddat bhare alfaaz ka,
Sehar hote hi, meri is arzoo ke mazaar pe likhe ek hi savaal ka,
Ki Jism ke is bazaar mein, koi ruh ka bhi kharidaar hai?
Ishq se nhi, Ishq ke khayaal se pyaar hai..
No comments:
Post a Comment