Sunday, June 17, 2018

Ek shehar tha naya, aur duniya nayi
Galiyan bhi anjaan aur raahein kayi 
Chotte shehar ki ladki leke khwaab oonche
Aa gyi thi wahan, chorr ke apne kareebi koonche

Kuch hi din lage aur shehar apna sa lagne lagaa,
Jo jee rhi thi zindagi woh, ek sapna sa lagne lagaa,
Kuch naye dost, kuch puraani yaadein,
Apni si lagne lagi thi ab saari baatein 

Jo hass ke baat kar leta wo apna ban jaata tha,
Sacha kaun jhoota kaun kabhi samajh na ataa tha 
Ansoo to khoob diye is shehar ne.. 
Par humesha ek dost tha jo muskurahat vapis le aata tha

Dost ab duniya ban gye the,
Aur ye shehar uska ghar,
Sab seekha bhi to yahin tha,
Isse pehle duniyadaari ki kahan thi khabar 

Ab bas yaadein sanjo ke samet ti hai har raat
Akele baith ke ab jeeti hai har puraani yaad
Din guzre fir mahine aur ab ho gye the 10 saal
Do ansoo gir hi jaate hain, jab bhi ati hai 
Is shehar mein aakhri kuch din bache hain wali baat 

Woh doston ka hasna, haste haste ro padna,
Woh do din ki ladai, Fir manane ke liye rass malai 
Yaad ayegi wo har gali, thi naapi jo doston ke sath,
Har wo kona, har nookad, har pub aur har wo dukaan 
Jahan se ab bhi guzre to aa jati hai ek meethi muskaan

Yaad ayengi wo weekend ki raatein,
Carrom nights aur lambi baatein 
Kabhi rum, kabhi whiskey aur kabhi beer ke sath
Woh gaane sunna poori poori raat
Long drive aur us par be mausam barsaat
Yaad ayegi ab woh har chotti baat

Chotte shehar ki ladki
Jo leke ayi thi bas sapne sath,
Le kar ja rhi hai ab woh yaadein hazaar
Choote kayi rishtey, thaame kayi naye hath,
Par is shehar ne nhi chorra kabhi uska sath
Ayegi usse jab bhi ab ghar ki yaad,
To ghar nhi, yaad ayega ye shehar har baar

11 comments:

  1. Woww..heart touching... its tough to leave..the city , the people..
    But what u hv now is memories..with which u wl start a new beginning..
    Yu are vry adjusting yet attach easily..so u wl find it difficult to detach, yet u wl adjust in ur new city n ppl as well..:)

    ReplyDelete
  2. Beautiful girl!!! You have poured out your complete emotions!!!

    ReplyDelete
  3. Too heavy.. It's like your second native

    ReplyDelete
  4. Emotions ...Amazingly penned... Loved reading each word... Superb... :*

    ReplyDelete
  5. I’ve missed all these comments somehow .. thank you all😘😘.. I still miss Bangalore a lot .. been a year n a half but my heart still resides there 😊

    ReplyDelete